Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Naat Lyrics

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Naat Lyrics

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Naat Lyrics

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Naat Lyrics


Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad


Tumhaare Aastane Se Zamaana Kya Nahi Paata
Koi Bhi Dar Se Khaali Maangne Waala Nahi Jaata


Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Lautkar Mai Na Jaaunga Khaali


Tum Zamaane Ke Mukhtaar Ho Ya Nabi
Bekaso Ke Madadgaar Ho Ya Nabi


Sab Ki Sunte Ho Apne Ho Ya Ghair Ho
Tum Ghareebo Ke Gham Khwaar Ho Ya Nabi


Hum Hai Ranj O Musibat Ke Maare Huwe
Saqt Mushkil Me Hai Gum Se Haare Huwe


Ya Nabi Kuch Khudaara Hame Bheek Do
Dar Pe Aaye Hai Jholi Pasare Huwe


Hai Mukhaalif Zamaana Kidhar Jaaye Hum
Haalat E Bekasi Kisko Dikhlaaye Hum


Hum Tumhare Bhikaari Hai Ya Mustafa
Kiske Aage Bhalaa Haath Failaye Hum


Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad
Lautkar Mai Na Jaaunga Khaali


Kuch Nawaso Ka Sadqa Ataa Ho
Dar Pe Aaya Hu Bankar Sawaali


Haq Se Paayi Woh Shaan E Kareemi
Marhaba Dono Aalam Ke Waali


Uski Qismat Ka Chamka Sitaara
Jis Pe Nazr E Karam Tum Ne Daali


Zindagi Baksh Di Bandagi Ko
Aabroo Deen E Haq Ki Bachaali


Woh Muhammad Ka Pyaara Nawasa
Jisne Sajde Me Gardan Kataali


Jo Ibne Murtaza Ne Kiya Kaam Khoob Hai
Qurbaani E Hussain Ka Anjaam Khoob Hai


Khurbaan Ho Ke Fatima Zehra Ke Chain Ne
Deen E Khuda Ki Shaan Badhaayi Hussain Ne


Bakhshi Hai Jisne Mazhab E Islam Ko Hayaat
Kitni Azeem Hazrat E Shabbir Ki Hai Zaat


Maidan E Karbala Me Shah E Khush Khisaal Ne
Sajde Mei Sar Kata Ke Mohammad Ke Laal Ne


Zindagi Bakhsh Di Bandagi Ko
Aabroo Deen E Haq Ki Bachali


Woh Muhammad Ka Pyaara Nawaasa
Jisne Sajde Me Gardan Kataali


Hashr Me Unko Dekhenge Jis Dam
Ummati Yeh Kahenge Khushi Se


Aa Rahe Hai Woh Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kamli Hai Kaali


Mehshar Ke Roz Pesh E Khuda Honge Jis Ghadi
Hogi Gunahgaaro Me Kis Darjaa Bekali


Aate Huwe Nabi Ko Jo Dekhenge Ummati
Ek Dusre Se Sab Yeh Kahenge Khushi Khushi


Aa Rahe Hai Woh Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kamli Hai Kaali


Sar E Mehshar Gunahgaro Se Purshish Jis Ghadi Hogi
Yaqinan Har Bashar Ko Apni Bakshish Ki Padi Hogi


Sabhi Ko Aas Us Din Kamli Waale Se Lagi Hogi
Ke Aise Me Mohammad Ki Sawaari Aa Rahi Hogi


Pukarega Zamaana Us Ghadi Dukh Dard Ke Maaron
Na Ghabraao Gunahgaro Na Ghabraao Gunahgaro


Aa Rahe Hai Woh Dekho Mohammad
Jinke Kaandhe Pe Kamli Hai Kaali


Aashiq E Mustafa Ki Azaan Me Allah Allah Kitna Asar Tha
Sachaa Yeh Waaqiya Hai Azaan E Bilaal Ka


Ek Din Rasool E Paak Se Logo Ne Yuh Kaha
Ya Mustafa Azaan Ghalat Dete Hai Bilaal


Kahiye Huzoor Aapka Is Me Hai Kya Khayaal
Farmaaya Mustafa Ne Yeh Sach Hai Toh Dekhiye


Waqt E Sahar Ki Aaj Azaan Aur Koi De
Hazrat Bilaal Ne Joh Azaan E Sahar Na Di


Khudrat Khuda Ki Dekho Na Mutlaq Sahar Huwi
Aaye Nabi Ke Paas Kuch As’haab E Baasabaa


Kiya Arz Mustafa Se Aye Shah E Ambiya
Hai Kya Sabab Sahar Na Huwi Aaj Mustafa


Jibreel Laaye Aise Me Paighaam E Kibriya
Pehle Toh Mustafa Ko Adab Se Kiya Salaam


Baad As Salaam Unko Khuda Ka Diya Payaam
Yuh Jibraeel Ne Kaha Khair Ul Anaam Se


Allah Ko Hai Pyaar Tumhaare Ghulaam Se
Farma Raha Hai Aap Se Yeh Rab E Zuljalaal

 
Hogi Na Subha Denge Na Jab Tak Azaan Bilaal
Aashiq E Mustafa Ki Azaan Me Allah Allah Kitna Asar Tha


Arsh Waale Bhi Sunte The Jisko
Kya Azaan Thi Azaan E Bilaali


Kaash Purnam Dayaare Nabi Me
Jeete Ji Ho Bulawa Kisi Din


Haal E Gum Mustafa Ko Sunau
Thaam Kar Unke Rauze Ki Jaali
 

Bhar Do Jholi Meri Ya Muhammad Naat Video


Post a Comment

0 Comments